Sunday, August 28, 2011

Band aankhon se rone ka maza kuchh aur hai


Chirag – tum bike itni tez kyon chala rahe ho?
Ankit :- ye letter urgent dena hai.
Chirag :- kahan?
Ankit :- address padhane ka time nahin hai.
Chirag :- ok go..


Unse milkar bichhadna to dusbar ho gaya,
Yaadon me unki dilazbur ho gaya,
Kasur nahin isme kuchh bhi unka,
Hamari chahat hi itni thi ki unhe gurur ho gaya….

Sirf do kadam door per kinara hoga,
Socho kitna khoobsurat ye nazara hoga,
Bas dil jo kahe use dil se karna,
Fir dekhna jo sochoge wo tumhara hoga…


Kabhi mere aanshu mujhse sawal karte hain,
Aap kyon usko itna pyaar kerte hain,
Jisko khabar hi nahin hai in aanshuao ki,
Uske liye kyon hume barbad kerte hain…


New style of love letter.
To,
The Janeman,
I love you,
Sub :- Application for love,
Jaan,
I beg to say that I’m  a student of your Heart. I’m mad for your love & to enter in your Heart. I can’t live without you.
    So please, I kindly request to grant me LOVE. For which I shall remain ever  Love t o you.
Thank you
Your jaaneman – aapka  P_P_
Class – love affair.
Roll no. :- 143….


Shaadi ki party me dj ne puchha :-  kab tak bajana hai.
Host :- 8-10 peg tak baja lo, uske baad toh ye sab generator ki awaz par bhi naach lenge…


Kabhi ek lamha aisa bhi aata hai,
Jisme beeta hua kal nazar aata hai,
Bas yaadein reh jaati hai yaad kern eke liye,
Aur waqt sab kuchh leke guzar jata hai….


Dil ke zakhmo pe mat ro mere yaar,
Waqt har zakhm ka marham hota hai,
Dil se jo sachcha pyaar kerta hai,
Uska to khuda bhi diwana hota hai…


Santa :- (ladki ko chhedte hue), hor soniye ki hal hai?
Ladki :- (gusse me), jo teri behan ka hai.
Santa :- (hass kar), wo to pregenent hai…


Ssas :- aaj se mujhe maa aur sasur ko papa kehna.
Bahu :- samajh gayi.
Sham ko pati ghar aaya to boli :- ma, bhaiya ghar aa gaye…

Samajh saka na koi mere dil ko,
Ye dil yun hi nadan reh gaya,
Mujhe koi gham nahin is baat ka,
Afsos hai ki mera yaar bhi mujhse anjan reh gaya….


Har subah teri muskurati rahe,
Kirne jaise aangan ko roushan kare,
Tarange yun hi dil me jagmagati rahe,
Tujhe meri, mujhe teri;
Yun hi yaad aati rahe,
Good morning…

Hume aapse koi sikwa nahin,
Sayad humari kismet me aapki chahat nahin,
Mere takdir ko likh kar khuda bhi mukar gaya,
Puchha to bola-
Ye mera likhawat hi nahin…


E jiski khatir mohabbat ki har had se gujar gaya,
Wo aaj mujhse puchhti hai—
Sach batao, mera NUMBER tumhe kahan se mila….


Boy- tum gana bahut achhi gati ho.
Girl – thanx, but I’m just a bathroom singer.
Boy- to bulao na kabhi apne live show me…

kya khoob hun me diwana unka,
jo har waqt unki hi tamanna karta hun.
Ye raaz hume malum hai ki-
Wo kisi aur se pyaar kerti hain……



Me ek gunah har baar kerta hun,
Har sajde me use hi yaad kyon kerta hun,
Ae khuda agar wo bani hi nahin mere liye,
To me use itna pyaar kyon karta hun….

Dua me labon per apna naam rekhna,
Nigahon me apni wahi andaaz rekhna,
Dena chahte ho agar khushiyan hume,
To---
Khush rehna aur apna khyal rekhna,
Good morning…


Bina jane pehchane ikraar na kijiye,
Dil ko apne yun bekarar na kijiye,
Phool bhi de sakte hain dard gahra,
Her phool par yun aitbaar na kijiye….


Rekh sako to ek nisaani hun me,
Bhool jao to ek kahani hun me,
Khushi kid hoop ho ya—
Ghum ke badal,
Dono me barse wo paani hun me…

Me-
Har lamhe me ek kitaab,
Har  kitaab me ek sawal,
Har sawal me ek jawab,
Har jawab me ek sapna,
Har sapne me ek arman,
Har arman me ke yaad,
Aur har yaad me sirf—
AAP…..


Pyaar me insaan kya kya nahin kerta,
Zindgi bhhi uske naam kar deta hai,
Kismet wale hote hain wo log,
Jinhe barwaad hue bina sab kuchh mil jata hai…


1 nayi si subah chura ke laya hun,
Dil me ek naya ehsaas bharne aaya hun,
Nind ki khamoshi me jot um lipte hue ho,
Tumhe pyaar se jagane aaya hin,
Good morning…


Santa :- 1 kilo gay ka dhoodh do.
Banta :- bartan chhota hai, nahin aayega.
Santa :- to bakeri ka de do…


Kareeb rehkar wo hume pehchaan na paayen,
Aaj tak wo hume jaan na paaye,
Khud hi bana li humse dooriyan,
Taki unpe koi ilzaam na aaye….


Mere gale me tumhari baahein hai,
Tumhare hothon per mere labon ke saye hain,
Mujhe yakin hai hum ab kabhi na bichhdenge,
Tumhe guman hai ki hum mil ke bhi paraye hain….


Baahon me bhar ker sula dun tujhko,
Aa khud me aaj chhupa lun tujhko,
Bhari duniya me mujhsa na milega koi,
Aa aisa ek ahsaas dila dun tujhko…


Kitne chehre hain duniya me,
Magar humko ek chehra nazar aata hai,
Duniya ko ab hum kya yaad kare,
Aapki yaadon me waqt saara guzar jata hai..

Na jane wo mujhse muskura ke milte hain,
Andar ke saare ghum chhupa ke milte hain,
Janta hun aankhein sach bolti hain,
Isliye nazarein jhuka ke milte hain…


Jab khuda ne banayi hogi ye duniya,
Toh mera khayal bhi jaroor aaya hoga,
Kahin reh na jaun me akela,
Tabhi to aap jaisa pyaara sa dost banaya hoga…


Sirf do kadam door per kinara hoga,
Socho kitna khubshurat ye nazara hoga,
Bas dil jo kahe use dil se karna,
Fir dekhna jo sochoge wo tumhara hoga…

Sonu recharge karwane gaya.
Dukandaar :- kitne ka?
Sonu :- 10 ka.
Dukandaar :- 7Rs. Ka talktime milega.
Sonu :- to Rs. 3 ki toffee  de  do…


Kid :- daddy, ye school kia hota hai?
Daddy :- ye wo jagah hai, jahan parents ko loota aur bachchon ko koota jata hai…


Santa apne bête se :- kya me tumhari padhne me help karun.
Beta :- nahin dad, me bina apki help ke hi fail hona chahta hun…


Girl :- I love you dear.
Boy :- different style me purpose karo.
Girl :- teri laash ko aag lagane ka chance mere bête ko dega ki nahin…


Apni aankhon me sama lo,
Apne dil me mera ghar bana lo,
Ae jaan kya karun dil kahin aur lagta nahin,
Pyaar me apse dil lagan eke baad….

Kis kadar mujhko satate ho tum,
Bhul jane per bhi yaad aate ho tum,
Jab bhi khuda se kuchh mangta hun,
Mere dil ki dua ban jaate ho tum…

Software engineers film banayenge to Naam kya hoga?—
1)      Munna Bhai c++
2)      Kabhi CD Kabhi Floppy
3)      Hamara Mouse Aapke Paas Hai
4)      Software Mil Gaya….

Pyaar ki kabhi numaish na kerna,
Wafa ki kabhi aazmaish na karna,
Maangoge jaan to wo bhi hum de denge,
Bas kabhi judai ki farmaish na karna….


Aankhon me khushi labon pe hansi ho,
Ghum ka kahin naam na ho,
Aapko jahan ki saari khushiyan mile,
Aur un khushiyon ki koi sham na ho….


Bhulenge wo bhulna jinka kaam hai,
Meri to doston ke bina gujarti nahin sham hai,
Kaise bhulun me unko,
Jo meri zindgi ka doosara naam hai…


Golu to Molu :- yaar, har pati ke liye Patni ka hona kyon jaruri hai?
Molu :- kyonki wo har kaam ke liye Government ko doshi nahin tahra sakti…

Chehare ki muskan ban jata hai koi,
Dil ki dhadkan ban jata hai koi,
Fir kaise jiyenge zindgi unke bin,
Jab zindgi jine ki pehchan ban jata hai koi…..

31 states, 1618 languages, 6400 castes, 6 religion, 6 ethic groups, 29 major festivals & 1 country, we proud  to be an INDIAN….

Banta : - what’s the similarity between marriage & 11:59pm?
Santa : - dono ke baad 12 bajte hain and din badal jata hai…

Paas aapke duniya ka har sitara ho,
Door aapse ghum ka kinara ho,
Jab bhi aapki palkein jhupke,
Samane wahi ho-
Jo aapka duniya me sabse pyaara ho……


Santa : - jab me mar jaun. To samane wale ghar ki family ko zarur bulana.
Banta :- kyon?
Santa :- yar unke ghar ki ladkiyan bahut lipat-lipat kar roti hain…


Ur sms is my Gulab jamun,
Ur miss call is my Rasmalai,
Ur call is my Rasgulla,
So-
Please always keep my sweet dish box full.
I am waiting for the sweets….


24 sweet hours make 1 sweet day.
7 sweet days make 1 sweet week.
But, I sweet person like youmake the whole like sweet…..


Boy :- janeman tu mera dil jala di jala ke rakh kar di.
Girl :- teri qurbani bekar nahin jayegi, bhej de rakh; bartan maanjane ke kaam aayenge…..

Jane kab wo rishta ban gaya,
Koi anjani jane kab apna ban gayi,
Hume ehsaas bhi na hua aur-
Koi humari zindgi ki zarurat ban gayi…..


Santa :- tum gale ki zanjir kyon kheench rahe ho?
Banta :- subah se zanjir kheench raha hun, per train ruk hi nahin rahi…

Santa :- me aur meri patni 20b saal se khush the.
Banta :- fir kya hua?
Santa :- fir kya, ek din hum mil gaye….

Teri  haya mera diwanapan,
Teri khushbu mera ehsaas rahe,
Teri  bahon me mera sahil ho,
Teri hathon me mera hath rahe,…..


Aankhon me agar ruk jaate hain aanshu,
Palkon me aake tut jaate hain aanshu,
Dil karta hai baha dun inhe,
Par tumko hasta dekh such jaate hain aanshu…


Meethi meethi yaadein palkon me saja lena,
Sath gujare pal ko dil me basa lena,
Nazar naa aun dil me agar,
Muskurakar mujhe sapno me bula lena……


Sardar train ki patari per so gaya. 1 aadmi bola- train aayegi to mar jaayega.
SardaR-   abbey abhi plane upper se gaya to kuchh nahin hua, tab train kya ukhaad legi?



Band aankhon se rone ka maza kuchh aur hai,
Aanshu bane lafz aur lafz bane ghajal,
Us ghajal me aapke hone ka maza kuchh aur hai….


No comments: