Saturday, January 8, 2011

Tera Muskurana

Tera muskurana, yu aankhen milana,

Baar baar ye tera chehara nazar ke samane aa jana,

Ise mohabbat kahu na to aur kya kahu,

Karta hu koshish bahut tumse na milne ki,

Per is kambakht dil ne ek bhi na mana,

Jab bhi dekhta hu tujhko, tu aisa kyon sochati hai,

Ki me tujhko dekhta hu,

Me nahi ye mera dil, tere ander chhupe us humsafar dil ko dekhta hai,

Karta hai ye koshish bechara bahut,

Per tum samajh jati ho majara kuchh aur hi jarur,

Karta hu vada , me na milunga kabhi tumse zindgi me,

Aur na hi tum milna kabhi kisi mod pe zindgi me,

Per is masum dil pe itna kahar kyon dhati ho,

Isko iske humsafar se milne se kyon rokti ho,

Unka kya kasur hai, jo unko itna bedard saza deti ho,

Apne zakhmo ko chhipane ke liye tum kisi aur ko dard deti ho,

Ja re ja kuchh bhi kar le tu ,

Per ye jamana humare is mohabbat ka hi gun gayegi,

Tu jaayegi jahan bhi,

Wahan bhi tujhe humare is mohabbat ke hi dhun sunayi degi,

Aur tujhe meri baaten yaad aayegi,

Tera muskurana, yu aankhen milana,

Baar baar ye tera chehara nazar ke samane aa jana,

Ise mohabbat kahu na to aur kya kahu,

Ja rahi ho to jaate jana,

Per kehata hu ek baat apni kasam use sunti jana,

Ek din tub hi is pagal dil ki tarah,

Mujhse milne ko tadpegi,

Bin sandle wali apne pairon se,

Mujhko dar-dar khojegi,

Aur milne pe mere dil se,

kabhi juda na hone ki kasame khayegi,

bas is dil ki yahi hai aarzoo,

ki kash kabhi aisa din aaye,

tu bhi mere pass aa jaye,

aur mere is dil ko chain aa jaye.

Tera muskurana, yu aankhen milana,

Baar baar ye tera chehara nazar ke samane aa jana,

Ise mohabbat kahu na to aur kya kahu,

 

                                                                    :- prabhakar

No comments: