Monday, April 11, 2011

Ek bachpan ka zamana tha

Ek bachpan ka zamana tha,

Khushiyon ka khazana tha,

Chahat chand ko paane ki,

Dil titli ka diwana tha,

Khawar na thi kuchh subah ki,

Na shaam ka thikana tha,

Thak haar ke aana school se,

Fir khelne bhi jana tha,

Dadi ki kahani thi,

Pariyon ka fasana tha,

Barish me kagaz ki kashti thi,

Har mousham suhana tha,

Har khel me sathi thi,

Har rishta nibhana tha,

Gham ki jubaan na hoti thi,

Na jakhmon ka paimana tha,

Rone ki wajah na thi,

Na hasne ka bahana tha,

Yahi jindgi ka fasana tha…..

                                                                                               -prabhakar

No comments: